Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Shirk Kise Kehte Hai?

*Shirk ki 3 Kisme hai*
*1. Shirk Fiz'zaat* ~ Booton ko Poojne ke Mu'ta'alik
*2. Shirk Fissifat* ~ Kaafiron ne Jinnat ko Allah ka Sharik banaya
*3. Shirk Fil Af'aal* ~ Booton ko Poojna aur unse Madad Talab Karne ke Mu'ta'alik 
*1. Shirk Fiz'zaat*
[az-Zumar, 39:3]
اَلَا لِلّٰہِ الدِّیۡنُ الۡخَالِصُ ؕ وَ الَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِہٖۤ اَوۡلِیَآءَ ۘ مَا نَعۡبُدُہُمۡ اِلَّا لِیُقَرِّبُوۡنَاۤ اِلَی اللّٰہِ زُلۡفٰی ؕ اِنَّ اللّٰہَ یَحۡکُمُ بَیۡنَہُمۡ فِیۡ مَا ہُمۡ فِیۡہِ یَخۡتَلِفُوۡنَ ۬ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یَہۡدِیۡ مَنۡ ہُوَ کٰذِبٌ کَفَّارٌ
﴿۳﴾ 
Haa'n Khaalis Allah Hi Ki Bandagi Hai Aur Woh Jinho'n Ne Uske Siwa Aur Waali Bana Liye Kehte Hai'n Hum To Unhe'n Sirf Itni Baat Keliye Poojte Hai'n Ke Yeh Hume'n Allah Ke Paas Nazdeek Karde'n Allah Unme'n Faisla Kar Dega Uss Baat Ka Jiss Me'n Ikhtelaaf Kar Rahe Hai'n Beshak Allah Raah Nahee'n Deta Use Jo Jhoota Bada Na Shukra Ho.
(Say to the people:) ‘Listen! Sincere obedience and worship is only Allah’s due.’ And those (disbelievers) who have taken (idols as) helpers other than Allah (say in false justification of their idol-worship:) ‘We worship them only that they may bring us near to Allah.’ Surely, Allah will judge between them concerning the matter in which they differ. Certainly, Allah does not give guidance to the one who is a liar and highly ungrateful.
*2. Shirk Fissifat*
[al-An‘ām, 6:100]
وَ جَعَلُوۡا لِلّٰہِ شُرَکَآءَ الۡجِنَّ وَ خَلَقَہُمۡ وَ خَرَقُوۡا لَہٗ بَنِیۡنَ وَ بَنٰتٍۭ بِغَیۡرِ عِلۡمٍ ؕ سُبۡحٰنَہٗ وَ تَعٰلٰی عَمَّا یَصِفُوۡنَ
﴿۱۰۰﴾٪ 
Aur Allah Ka Shareek Thehraaya Jinno'n Ko Haalaa'nke Usi Ne Unko Banaaya Aur Uske Liye Bete Aur Betiyaa'n Gadhlee'n Jahaalat Se Paaki Aur Bartari Hai Usko Unki Baato'n Se.
And these (disbelievers) associate jinn as partners with Allah, whereas He is the One Who has created them. And (also) without knowledge (and reason), they falsely attribute sons and daughters to Allah. Holy is He and far Exalted above (all) that they attribute (to Him).
* 3.Shirk Fil Af'aal*
[ash-Shu‘arā’, 26:92]
وَ قِیۡلَ لَہُمۡ اَیۡنَمَا کُنۡتُمۡ تَعۡبُدُوۡنَ
﴿ۙ۹۲﴾ 
Aur Unse Kaha Jaayega Kahaa'n Hai'n Woh Jinko Tum Poojte The.
And it will be said to them: ‘Where are those (idols) which you used to worship,
[ash-Shu‘arā’, 26:93]
مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ ؕ ہَلۡ یَنۡصُرُوۡنَکُمۡ اَوۡ یَنۡتَصِرُوۡنَ
﴿ؕ۹۳﴾ 
Allah Ke Siwa Kya Woh Tumhaari Madad Kare'nge Ya Badla Le'nge.
Besides Allah? Can they help you, or can they help themselves (to protect themselves from Hell)?’
*NOTES*:
Kuch log in Aayat'o ko Ambiya wa'Awaliya Allah par fit karte hai. (Yeh unke Jahalat ki Inteha hai)
Khulaasa :- Shirk Fizzaat Use Kehte Hai'n Ke Koi 1 Se Zayaada Khuda Maane Ya Kisi Ko Khuda Ke Jaisa Maane Jaise Majoosi 2 Khuda Maante Hai Ek Khaaliq e Sharr Aur Doosra Khaaliq e Khair Aur Mushrikeen To Carodo Khuda Maante Hai. Ma'az Allah
Khulaasa :- Shirk Fissifaat Use Kehte Hai'n Ke Koi Khuda Keliye Beta, Beti Aur Biwi Maane, Jaise Isaa'iyo'n (Christians) Ne Hazrate Isa Alaihissalaam Ko Allah Ka Beta Maana Aur Hazrate Mariyam Radiallahu Anha Ko Allah Ki Biwi Maana. Ma'az Allah
Khulaasa :- Shirk Fil Af'aal Use Kehte Hai'n Ke Koi Khuda Keliye Madadgaar Maane, Jaise Mushrikeen Ka Aqeeda Tha Ke Baarish Barsaana Aasmaan Ke Khuda Ka Kaam Hai Lekin Zameen Se Darakht, Phal, Phool Ugaana Zameen Ke Khuda Ka Kaam Hai, Jab Tak Partnership Baraabar Nahee'n Chalti Tab Tak Na Barish Ho Sakti Hai Na Zameen Se Kuchh Ugaaya Ja Sakta Hai. Ma'az Allah
1. Musalmaan Ambiya Aur Auliya Ko Na To Khuda Maante Hai'n 
2. Aur Na Khuda Ke Jaisa Maante Hai 
3.Aur Na Inko Khuda Ki Aulaad Maante Hai'n 
4. Aur Na Hi Khuda Ka Madadgaar Maante Hai'n, 
5. Humaara Aqeeda Yeh Hai Ke Khuda 1 Hai 
6. Uske Siwa Koi Ibaadat Ke Laayeq Nahee'n 
7. Na Koi Uske Jaisa Hai 
8. Na Koi Uska Madadgaar Hai, 
9. Balke Ambiya Aur Auliya Ko Jo Bhi Power Mili Huwi Hai Woh Allah Ta'ala Ki Ata he Se Hai
10. Allah Ta'ala Ki Power Zaati Hai Usko Kisi Ne Yeh Power Nahee'n Di 
11. Magar Ambiya Wa Auliya Wa Makhlooq Ki Power Ataayi Hai Allah Ne Hume'n Power Di Hai, Agar Koi Makhlooq Ki Power Ko Zaati Maane To Woh Kaafir Wa Mushrik Kehlaayega.
10. Allah ke na chaahne se Zameen par ek patta bhi nahi hil sakta. 
Hoga wohi Jo Allah chaahe
(Ab itna clear hone ke ba'wazood bhi kisi par accusation karna, shirk ka fatwa lagana, Mushriq kehna, ya Samajna, Qabr Parast kehna Maaz'Allah, phir tou Kehne wale par he woh hukm palat kar aayega)
Allah Tabaraq'Wa-ta'aala Aqle Saleem Ataa Farmaa'a! Qur'aan ko samaj kar padne ki Taufiq ataa farmaa'a. 
Qur'aan ka Noor ataa farmaa'a. 
Noore Qur'aan se hamara Seena munawaar farmaa'a. 
آمِيْن يَارَبَّ الْعَالَمِينْ
Aur Musalmaano par Kufr Wa'Shirk ke fatwe lagana bandh ho! Aisa na ho ki khud he Hukm ke zadd mein aa jaaye!