Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Qur'aan e Paak Me'n 2 Tarah Ki Aayate'n Hai'n

Qur'aan e Paak Me'n 2 Tarah Ki Aayate'n Hai'n
Pehli Mohkam Ya'ni Jinke Ma'ni Me'n Koi Ishtibaah Nahee'n Balke Qur'aan Samajhne Ki Ahliyat Rakhne Waale Aasaani Se Samajh Lete Hai'n
Aur Doosri Mutashaabeh Ya'ni Woh Aayaat Jinke Zaahiri Ma'na Ya To Samajh Nahee'n Aate Jaise Huroof e Muqatte'aat, Ya'ni Ba'az Soorto'n Ke Shur'u Me'n Aane Waale Huroof Jaise Sureh Baqarah Ke Shur'u Me'n "الٓمّٓ" Hai
Aur Ya Mutashaabe Woh Hai Jiske Zaahiri Ma'na Samajh To Aate Hai'n Lekin Woh Muraad Nahee'n Hote Jaise Allah Ta'ala Ke "یَدْ" Ya'ni Haath Aur "وَجْہٌ" Ya'ni Chehre Waali Aayaat, Inke Zaahiri Ma'na Ma'loom To Hai Lekin Yeh Muraad Nahee'n, Jabke Inke Haqeeqi Muraadi M'ana Me'n Kayi Ahtemaal Ho Sakte Hai'n Aur Inme'n Se Kaunsa Ma'na Allah Ta'ala Ki Muraad Hai Yeh Allah Ta'ala Hi Jaanta Hai Ya Woh Jise Allah Ta'ala Iska Ilm De,
Pehli Qism Mohkam Ke Baare Me'n Farmaaya Ke "Yeh Kitaab Ki Asal Hai'n" Ya'ni Ahkaam e Shara'iyyah Me'n Inki Taraf Ruj'u Kiya Jaata Hai Aur Halaal Wa Haraam Par Inhee'n Par Amal Kiya Jaata Hai.
Mutashaabeh Aayato'n Ka Ilm Sirf Allah Ta'ala Ko Hai Aur Allah Ta'ala Ki Ata Se Rasoolullah ﷺ Ko Hai Aur Rasoolullah ﷺ Ke Sadqe Se Auliya e Kiraam Ko Hai.
(Tafseer Siraatul Jinaan)