Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Rasoolallah ﷺ Se Muta'alliq Aqaid

Rasoolallah ﷺ Se Muta'alliq Aqaid 
1 - Nabi e Kareem ﷺ Tamaam Rasoolo'n Ke Sardaar Hai'n. 
2 - Nabi e Kareem ﷺ Saraapa Noor Aur Afzalul Bashar Hai'n (Be Misl Bashar Hai'n).
3 - Nabi e Kareem ﷺ Ke Noor Ko Allah Ta'ala Ne Sabse Pehle Paida Farmaaya.
4 - Nabi e Kareem ﷺ Allah Azzowajal Ke Naayeb e Mutlaq Aur Khaleefa e Aa'zam Hai'n. 
5 - Agar Nabi e Kareem ﷺ Ko Paida Karna Maqsood Na Hota To Allah Azzowajal Duniya Me'n Koi Shay (Cheez) Paida Na Farmaata.
6 - Nabi e Kareem ﷺ Qayaamat Ke Din Allah Azzowajal Ki Ijaazat Se Apni Ummat Ki Shafa'at Kare'nge, Shafa'at Ka Munkir Gumraah Aur Be Deen Hai.
7 - Nabi e Kareem ﷺ Haywaanaat, Malaa'ika, Hoor o Gulmaa'n, Jinn o Insaan Balke Tamaam Kaaynaat Keliye Rehmat Hai'n. Jaisa Ke Allah Azzowajal Ne Sureh Ambiya Aayat No.107 Me'n Irshaad Farmaaya "Aur Humne Tumhe'n Na Bheja Magar Rehmat Saare Jahaan Keliye".
8 - Allah Azzowajal Ki Riza Nabi e Kareem ﷺ Ki Riza Hai Aur Nabi e Kareem ﷺ Ki Riza Allah Azzowajal Ki Riza Hai.
9 - Nabi e Kareem ﷺ Ki Ita'at Allah Azzowajal Ki Ita'at Hai Aur Nabi e Kareem ﷺ Ki Be Adabi Wa Gustaakhi Allah Azzowajal Ki Be Adabi Wa Gustaakhi Hai.
10 - Allah Azzowajal Ne Shabe Asra Ke Dulha Nabi e Kareem ﷺ Ko Haalate Bedaari Me'n Meraj Shareef Karwaayi Jo Na Maane Woh Gumraah Hai.