Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Aqaid e Khilafat (Sahaba)

Aqaid e Khilafat (Sahaba)
1 - Sayyiduna Abu Bakar Siddiq Radiallahu Anhu Tamam Ambiya e Kiram Alaihissalam Ke Ba'ad Tamam Insano Se Afzal Hai, Phir Umare Farooque, Phir Usmane Gani, Phir Maula Ali Radiallahu Anhum, Iske Khilaf Agar Koi Hazrate Ali Radiallahu Anhu Ko Afzal Maane Woh Gumrah Hai. In Charo Hazraat Ki Fazeelat Bittarteeb e Khilafat Hai Ya'ni Allah Ta'ala Ke Nazdeek Jo Afzal Tha Usi Ko Pehle Khilafat Mili.
2 - Chaar Khulfa e Rashideen Ke Ba'ad Baqiya Ashra e Mubashshara Wa Hasnain e Karimain Wa Ashab e Badar Wa Ashab e Baitur Rizwan Afzal Sahaba Hai.
3 - Kisi Bhi Sahabi Ke Saath Bad-Aqeedgi Rakhna Gumrahi Hai, Maslan Hazrate Ameer Muaviya Wa Hazrate Abu Sufiyan, Hazrate Hindah, Hazrate Umro Bin Aas, Hazrate Mugira Bin Shoba, Hazrate Abu Moosa Asha'ri Radiallahu Anhum, Aise Hi Hazrate Wahshi Radiallahu Anhu Jinhone Ne Hazrate Hamza Radiallahu Anhu Ko Shaheed Kiya Lekin Woh Islam Laane Se Pehle Ka Waqea'a Tha Islam Laane Ke Ba'ad Bade Khabees Musailema Kazzab Wa Mal'oon Ko Waasile Jahannam Kiya In Me Se Kisi Ki Shaan Me Gustakhi Karna Bura Hai Aur Iska Karne Wala Rafzi Aur Kafir Hai.
4 - Sahaba e Kiram Ke Darmiyan Jo Waqea'at Huwe Unme Padna Sakht Haram Hai. Musalmano Ko To Yeh Dekhna Chahiye Ke Woh Sab Rasoolallah ﷺ Ke Ashiq, Parwane Aur Sachche Gulam The.
5 - Ahle Bait Aur Sahaba Na Nabi The Aur Na Hi Rasool The Aur Na Hi Farishte The Ke Ma'soom Ho, Unme Se Ba'az Se Agar Lagzishe Bhi Huwi To Unpar Girift Karna Allah Aur Rasool Ke Farman Ke Khilaf Hai. Surah Hudaid Me Allah Ta'ala Ne Sahaba Ke Haq Me Saaf A'elan Farmaya.
"Sab Se Allah Ne Bhalayi Ka Wa'da Farmaliya"
Allah Ne Jab Unke Tamam A'amaal Jaan Kar Unsab Keliye Jannat Aur Karamat Wa Sawab Ka Wa'da Farma Liya To Phir Kisi Doosre Ko Kya Haq Raha Ke Unki Kisi Baat Par Ta'an (Ta'na) Kare. Lihaza Humara Muttafeqa Aqeeda Hai Ke Saare Sahaba Jannati Hai. "Farishte Unka Isteqbal Karege Ke Yeh Woh Din Hai Ke Jiska Tumse Wa'da Liya Gaya Tha".
6 - Yeh Jo Ba'az Jahil Log Kaha Karte Hai Ke Hazrate Ali Radiallahu Anhu Ke Sath Hazrate Ameer Muaviya Radiallahu Anhu Ka Naam Liya Jaaye To "Radiallahu Anhu" Na Kaha Jaaye Yeh Khayal Batil Hai. Ulema Ne Tamam Sahaba Ke Mubarak Naamo Ke Sath Mutlaqan "Radiallahu Anhu" Kehne Ka Hukm Diya Hai.
7 - Hazrate Ameer Muaviya Radiallahu Anhu Awwal Malook Islam Hai. Isi Tarah Taurait Me Ishara Hai Aur Ahadees Me Bhi Hai Ke Aakhiri Nabi ﷺ Makka Me Paida Hoge, Madeena Ko Hijrat Farmayege Aur Unki Saltanat Mulk e Shaam Me Hogi. Isse Sabit Huwa Ke Hazrate Ameer Muaviya Radiallahu Anhu Ki Badshahi Agarche Saltanat Hai Magar Woh Dar Haqeeqat Rasoolallah ﷺ Ki Hi Saltanat Hai.
8 - Hazrate Sayyiduna Imam e Hasan Radiallahu Anhu Ne Ek Lashkar e Jarrar Ke Sath Hote Huwe Bhi Theek Maidan e Jung Me Hathiyar Rakh Diye Aur Khilafat Hazrat Ameer Muaviya Radiallahu Anhu Ke Supurd Kardi Aur Unke Hath Par Bai'at Farmayi Aur Iss Suleh Ko Huzoor e Akram ﷺ Ne Pasand Farmaya Aur Iski Basharat Kayi Saal Pehle Di Thi Ke "Mera Beta Sayyed Hai Ummeed Karta Hu Ke Allah Ta'ala Iske Ba'is (Zariye) Musalmano Ke 2 Bade Giroh Me Sulah Karade".
9 - Hazrat Ameer Muaviya Radiallahu Anhu Par Ma'az Allah Fisq Wagaira Ka Ta'an (Ta'na) Karne Wala Hazrate Imam Hasan Radiallahu Anhu Par Balki Rasoolallah ﷺ Par Ta'an Karta Hai Yehi Nahi Balki Allah Ta'ala Par Ta'an Karta Hai.
10 - Hazrate Hasnain e Karimain Radiallahu Anhum Yaqeenan A'ala Darje Ke Shohada e Kiram Hai Inki Shahadat Ka Munkir Gumrah Aur Bad Deen Hai.
11- Yazeed Paleed Fasiq Wa Fajir Tha Use Aur Shezada e Rasool ﷺ Imame Husain Radiallahu Anhu Se Kya Nisbat. Hum Apni Zaban Se Yazeed Ko Kafir Bhi Nahi Kehte Aur Musalman Bhi Nahi Kehte. Kyuki Iss Silsile Me Humare Imame Azam Abu Haneefa Rehmatullah Alaih Ka Maslak "Sukoot" Hai. Tafseel Keliye "Shareh Hadees Qustuntuniya" Yeh Kitab Padhe.
12 - Ummul Momineen Hazrate Khadija Radiallahu Anha Aur Ummul Momineen Hazrate Ayesha Radiallahu Anha Qatayi Jannati Hai. Inhe Baqiya Tamam Azwaj e Mutahharat Aur Sahabiyaat Par Fazeelat Hasil Hai. Inki Taharat Ki Gawahi Quran Ne Di Hai Jo Inhe Taqleef Deta Hai Woh Rasoolallah ﷺ Ko Taqleef Deta Hai. Chunanche Inpar Ta'an (Ta'ana) Karne Wala Rafzi Aur Jahannami Hai.
13 - Rasoolallah ﷺ Ke Walidain e Karimain Momin The. Jo Inhe Kafir Kahe Woh Khud Kafir Hai. Tafseel Keliye "Abwain e Mustafa" Kitab Padhe. 
14 - Imam Menhdi Alaihissalam Ka Zahoor Haq Hai Lekin Iss Tarah Ke Woh Apne Zamana Me Maa Baap Se Paida Hoge Jo Ke Ba'ad Ko A'elan Karege Aisa Nahi Ke Woh Ab Zinda Hai.