Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Aqeeda E Tauheed

Aqeeda e Tauheed 
Har Musalmaan Ko Allah Ta'ala Ke Ta'alluq Se Yeh Aqeeda Rakhna Zaroori Hai.
1- Allah Ta'ala 1 Hai. Uska Koi Shareek Nahee'n Na Zaat Me'n, Na Sifaat Me'n, Na Af'aal Me'n, Na Ahkaam Me'n, Na Koi Nabi Na Koi Wali.
2 - Woh Zaat Waajibul Wajood Hai Ya'ni Humesha Se Hai Azli Hai Aur Humesha Rahega Abdi Hai.
3 - Allah Ta'ala Ki Zaat Ka Idraak Muhaal Hai, Haa'n ijmaalan (Mukhtasar Taur Par) Af'aal Ke Zariye Se Sifaat Aur Sifaat Ke Zariye Se Zaat Ka Ilm Ho Sakta Hai.
4 - Allah Ta'ala Humaara Ma'bood Hai Uske Siwa Koi Ibaadat Ke Laayeq Nahee'n.
5 - Woh Humesha Se Hai Aur Humesha Rahega Uski Hasti Fana Hone Waali Nahee'n.
6 - Saari Duniya Ko Wohi Qaayem Rakhe Huwe Hai Sab Usi Ke Sahaare Chal Rahe Hai'n Lekin Khud Use Koi Sahaare Ki Zaroorat Nahee'n.
7 - Use Na Oo'ngh Aati Hai Na Nee'nd, Woh Har Dam Sabki Hifaazat Karta Hai Aur Har Aan Har Cheez Par Nazar Rakhta Hai.
8 - Zameen Wa Aasmaan Me'n Jo Kuchh Hai Woh Allah Ta'ala Ka Hi Hai Allah Ke Siwa Saari Duniya Ka Koi Asli Maalik Nahee'n Hai.
9 - Allah Ta'ala Ke Aage Kisi Ko Dam Maarne Ki Majaal Nahee'n, Allah Ta'ala Ki Ijaazat Ke Bagair Koi Allah Ta'ala Ke Saamne Sifaarish Karne Ka Hosla Nahee'n Kar Sakta, Isliye Ambiya Aur Auliya Makhlooq Ke Shaafi (Shafa'at Karne Waale) Hai'n Ke Allah Ne Inko Shafaa'at Ki Ijaazat Di Hai.
10 - Allah Ta'ala Ko Kaayenaat Ki Har Cheez Ka Ilm Hai Koi Cheez Allah Ta'ala Se Chhupi Huwi Nahee'n Aur Allah Ta'ala Ke Ilm Se Baahar Nahee'n Yeh Ilm Allah Ta'ala Ka Zaati Aur Daayemi Aur Bil Isteqlaal Hai.
11 - Humaara Ilm Bhi Allah Ta'ala Ka Diya Huwa Hai Kisi Ki Kiya Majaal Ke Allah Ta'ala Ki Marzi Ke Bagair Kuchh Ma'loom Kar Sake, Ambiya Wa Sahaaba Wa Auliya Jo Ilm Aur Gaib Ki Baate'n Jaante Hai'n Woh Sab Allah Ta'ala Ki Ata Se Jaante Hai'n.
12- Allah Ta'ala Ki Qudrat Zameen Aur Aasmaan Par Gaalib Hai, Allah Ta'ala Ki Hukoomat Kaayenaat Ke Ek Ek Zarre Par Hai Aur Koi Cheez Uske Farmaan Se Baahar Nahee'n.
13- Allah Ta'ala Saari Duniya Ki Hifaazat Se Nahee'n Thakta, Allah Ta'ala Apni Zaat Wa Sifaat Me'n Sabse Oo'ncha Hai, Allah Ta'ala Azmat Waala Hai, Allah Ta'ala Ki Shaan Ka Koi Jawaab Nahee'n.
14 - Allah Ta'ala Ka Deedaar Duniyawi Zindagi Me'n Rasoolullah ﷺ Ke Alaawa Koi Nahee'n Kar Sakta Magar Aakherat Me'n Har Musalmaan Deedaar Karega.
15 - Allah Ta'ala Hi Haqeeqi Madadgaar Hai, Ambiya Wa Auliya Ya Koi Bhi Aa'm Insaan Jo Makhlooq Ki Madad Karte Hai'n Woh Allah Ta'ala Ki Di Huwi Taaqat Se Hi Karte Hai'n.
16 - Allah Ta'ala Har Ayeb (Jhoot, Geebat, Dhoka, Be Imaani, Zulm, Bhoolne, Ha'nsi Mazaaq, Gunaah Wagairah) Se Paak Hai.
17 - Allah Ta'ala Jism Aur Jagah Se Paak Hai, Humaara Aqeeda Yeh Hona Chaahiye Ke Allah Ta'ala Maujood Hai. Kahaa'n Hai Kaise Hai Yeh Hume'n Nahee'n Ma'loom.
18 - Allah Ta'ala Ko Upar Waala Kehna Galat Hai Kyu'n Ke Allah Ta'ala Jagah Se Paak Hai, Agar Koi Allah Ta'ala Keliye Yeh Aqeedah Rakhta Hai Ke Allah Ta'ala Aasmaan Par Hai To Woh Kaafir Hai.
Ya Allah Azzowajal! Humko Teri Tauheed Par Qaayem Wa Daayem Rakh. Ameen