Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Qabr (Mazaar) Ko Sajda Karna Kaisa?

Qabr (Mazaar) Ko Sajda Karna Kaisa?
Allah Ta'ala Ke Alaawa Kisi Aur Ko Sajda e Ibaadat Karna Shirk Hai Aur Yeh Har Nabi Ki Sharee'at Me'n Shirk Raha Hai,
Aur Sajda e Ta'zeemi Karna Pichle Nabiyo'n Ki Sharee'at Me'n Jaa'iz Tha Balke Khud Allah Ta'ala Ne Farishto'n Ko Hukm Diya Tha Ke Hazrat Aadam Alaihissalaam Ko Sajda e Ta'zeemi Karo.
Tarjuma - Aur Yaad Karo Jab Humne Farishto'n Ko Hukm Diya Ke Aadam Ko Sajdah Karo To Sab Ne Sajdah Kiya Siwaaye Iblees Ke Munkir Huwa Aur Guroor Kiya Aur Kaafir Hogaya. (Sureh Baqarah, Aayat No.34)
Lekin Sajda e Ta'zeemi Karna Sharee'at e Mohammadiya ﷺ Me'n Haraam Hai, Agar Koi Kisi Insaan Ko Ya Qabr Ko Sajda e Ta'zeemi Karta Hai To Uspar Haraam Kaam Karne Ka Fatwa Lagega, Aur Agar Allah Ta'ala Ke Alaawa Koi Kisi Aur Ko Sajda e Ibaadat Karta Hai To Uspar Shirk Karne Ka Fatwa Lagega,
Imaam e Ahle Sunnat Alahazrat Imaam Ahmad Raza Khaan Qaadri Barelvi Rehmatullah Alaih Farmaate Hai'n Ke,
Qabr Ko Sajda e Ta'zeemi Karna Haraam Hai Aur Agar Ibaadat Ki Niyat Ho To Kufr Hai.
(Fataawa Razviya, Jild No.22, Safha No.423)
Koi Bhi Musalmaan Allah Ta'ala Ke Alaawa Kisi Aur Ko Sajda e Ibaadat Nahee'n Karta, Aur Na Hi Koi Musalmaan Jo Ilm Rakhta Ho Woh Kisi Aur Ko Sajda e Ta'zeemi Karta Hai,