Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Aqaid e Barzakh

Aqaid e Barzakh
Yaad Rahe Ke Dunya Aur Aakherat Ke Darmiyan Ke Jahan Ko "Barzakh Ka Jahan" Kehte Hain.
1 - Marne Ke Ba'ad Musalman Ki Rooh Hasbe Martaba Mukhtalif Maqamo Me Rehti Hai. Ba'az Ki Qabr Me, Ba'az Ki Chaah Zam Zam Shareef Me, Ba'az Ki Asman Wa Zameen Ke Darmiyan, Ba'az Ki Pehle Asman Par, Ba'az Ki Doosre Aur Saatwe Asman Tak, Ba'az Ki Asmano Se Kabhi Buland Aur Ba'az Paak Roohe Zere Arsh Qandeelo Aur Ba'az Ki Jannat Ke Oonche Makan Me Rehti Hai Magar Kahi Bhi Ho Rooho Ka Ta'alluq Apne Jismo Ke Sath Bhi Zaroor Qayam Rehta Hai Jiss Tarha Hayate Dunyawi Me Qayam Tha Balki Isse Bhi Zyada. Badan Ki Har Rahat Wa Lazzat Bhi Rooh Ko Pahochti Hai, Iske Alawa Rooh Keliye Khaas Apni Rahat Wa Gum Ke Alag Asbab Hai.
2 - Kafiro Ki Roohe Apne Marghat Ya Qabr Me Rehti Hai, Ba'az Ki Chaah Barhoot Me Ke Yaman Me Ek Nala Hai, Ba'az Ki Pehli Aur Saatwi Zameen Tak, Ba'az Ki Isse Bhi Neeche Sijjain Me, Woh Kahi Bhi Ho Jo Unki Qabr Ya Marghat Par Guzre Dekhti, Pehchanti Aur Sunti Hai Magar Kahi Aane Jaane Ka Ikhtiyar Nahi Kyuke Woh Qaid Me Hai.
3 - Yeh Aqeeda Rakhna Ke Marne Ke Ba'ad Rooh Kisi Doosre Aadmi Ya Janwar Ke Badan Me Chali Jaati Hai "Tanasukh" Awagon Kehlata Hai Jo Qata'i Be Bunyad Aur Kufr Hai.
4 - Azabe Qabr Bhi Haq Hai Aur Qabr Ki Rahat Bhi Haq Hai. Dono Rooh Aur Jism Par Hai, Jism Agarche Gal Jaaye, Khaak Hojaye Magar Jism Ke Ajzaye Asliya Qayamat Tak Baaqi Rahege, Woh Mooride Azab Wa Sawab Hoge, Inhi Par Roze Qayamat Tarkeeb e Jism Farmayi Jayegi, Woh Reedh Ki Haddi Me Aise Bareek Ajza Hai Jinhe "Ajbuz Zanmb" Kehte Hai Ke Na Kisi Khurdbeen Se Nazar Aasakte Hai Na Aag Inhe Jala Sakti Hai Aur Na Zameen Inhe Gala Sakti Hai, Goya Badan Ka Beej Hai Lihaza Qayamat Ke Roz Rooho Ka Wapas Lautna Isi Jism Me Hoga.
5 - Nabio, Walio, Aalimo, Hafizo Aur Shaheedo Ko Jo Mansab e Mohabbat Par Fayez Rahe, Qura'n Shareef Par Amal Karte Rahe Aur Darood Shareef Ka Wird Karte Rahe Inke Badan Ko Mitti Nahi Khasakti. Iske Bar Khilaf Jo Shakhs Ambiya e Kiram Ki Shaan Me Na Shaista Kalma e Kufr Kahe Ke "Mar Kar Mitti Me Mil Gaye" Woh Gumrah, Murtakib Tauheen Aur Khabees Hai.
6 - Maut Yehi Hai Ke Rooh Jism Se Juda Ho Jaaye, Lekin Juda Ho Kar Fana Nahi Hojati, Dafan Ke Ba'ad Qabr Murde Ko Dabati Hai, Jab Dafan Karne Wale Dafan Karke Chale Jaate Hai To Murda Unke Jooto Ki Awaz Sunta Hai Iske Ba'ad Farishte Zameen Cheerte Aate Hai, Inki Soorat Darawni, Aankhe Neeli Aur Kaali Aur Ek Ka Naam Munkar Aur Doosre Ka Naam Nakeer Hai, Woh Murde Ko Uthakar Bithate Hai Aur Sawal Poochte Hai Ke
(1) Tera Rab Kon Hai?
(2) Tera Deen Kya Hai?
(3) Rasoolallah ﷺ Ki Taraf Ishara Karke Poochte Hai Ke Tu Inke Haq Me Kya Kehta Tha?
Musalman Jawab Deta Hai
(1) Mera Rab Allah Hai
(2) Mera Deen Islam Hai
(3) Yeh Allah Ke Rasool ﷺ Hai Phir Kalma Padhta Hai.
Phir Farishte Kehte Hai Hum Jaante The Ke Tu Yehi Jawab Dega.
Phir Uski Qabr Faraakh Aur Roshan Kardi Jaati Hai, Asman Se Ek Munadi Nida Karta Hai "Mere Bande Ne Sach Kaha" Iskeliye Jannati Farsh Bichhaw, Jannati Libas Pehnaw, Jannat Ki Taraf Darwaze Kholo, Darwaze Khol Diye Jaate Hai Jinse Jannat Ki Hawa Aur Khushbu Aati Rehti Hai Aur Farishte Usse Kehte Hai Ab Tu Aaram Kar.
7 - Kafir In Sawalo Ka Jawab Nahi Desakta Aur Har Sawal Ke Jawab Me Kehta Hai Ke Mai Nahi Jaanta. Asman Se Nida Karne Wala Nida Karta Hai Ke Yeh Jhoota Hai Iskeliye Aag Ka Bichhawna Bichhaw. Aag Ka Libas Pehnao Aur Dozakh Ki Taraf Darwaza Khol Do Isse Dozakh Ki Garmi Aur Lapet Aati Hai Phir Ispar Farishte Muqarrar Kardiye Jaate Hai Jo Lohe Ke Bade Gurzo Se Maarte Hai Aur Azab Karte Rehte Hai.
8 - Qabr Me Har Murde Ko Rasoolallah ﷺ Ki Ziyarat Naseeb Hoti Hai. Ahle Iman Aapko Pehchan Lete Hai. Kafir Wa Munafiq Nahi Pehchan Sakege.
9 - Hashr Sirf Rooh Ka Nahi Balke Rooh Aur Jism Dono Ka Hoga Jo Na Maane Woh Kafir Hai.
10 - Dunya Me Jo Rooh Jiss Jism Ke Sath Muta'alliq Thi Uss Rooh Ka Hashr Usi Jism Me Hoga. Roze Mehshar Hisab Zaroor Hoga Hisab Ka Munkir Kafir Hai. Albatta Tahajjud Padhne Wale Bina Hisab Jannat Me Jayege. Jannat Dozakh Haq Hai Inka Inkar Karne Wala Kafir Hai. Qabr Me Farishto Ke Sawalat Aur Marne Ke Ba'ad Qayamat Ke Din Zinda Hona Bar Haq Hai.
11 - Azabe Qabr Kafiro Aur Ba'az Gunehgar Momino Ko Hoga.
12 - Allah Ta'ala Apne Farma Bardar Momino Keliye Qabr Me Ne'mate Nazil Farmata Hai. Haram Ko Halal Kehne Wala Aur Halal Ko Haram Kehne Wala Kafir Hai. Qayamat Bar Haq Hai Aur Mehshar Me Bargah e Haq Ta'ala Me A'amal Ka Hisab Hota Hai. Neki Aur Burayi Walo Ko Badla Milta Hai.