Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Aqaid e Wilayat

Aqaid e Wilayat
1 - Wilayat Ek Qurb e Khaas Hai Jo Rab Ta'ala Apne Fazlo Karam Se Apne Khaas Barguzeeda Bando Ko Ata Farmata Hai.
2 - Wilayat Ibadat Wa Riyazat Ke Zor Se Hasil Nahi Ki Jasakti Yeh Sirf Rab Ki Riza Par Munhasir Hai Albatta A'amaal e Sahileha Zariya Sabit Ho Sakte Hai. Ba'az Ko Wilayat Maa Ke Pet Se Bhi Mil Jaati Hai.
3 - Ummat Me Sabse Zayada Ma'refat Wa Qurb e Ilahi Hazrate Siddik e Akbar Phir Farooque e Azam Phir Usman e Gani Phir Maula Ali Ko Darja Badarja Hasil Hai, Haa Mataba e Takmeel Par Rasoolallah ﷺ Ne Janib Kamalaat e Nabuwwat Shaikhain Ko Farmaya Aur Janib Kamalaat e Wilayat Maula Ali Mushkil Kusha Ko, Jumla Auliya Ma Ba'ad Ne Maula Ali Ke Ghar Se Yeh Ne'mat Paayi Aur Sab Inhi Ke Dast e Nagar The Aur Rahege.
4 - Tareeqat Munafi Shariat Nahi Woh Shariat Ka Hi Batini Hissa Hai, Ba'az Jahil Aur Sufi Keh Dete Hai Ke Shariat Aur Hai Tareeqat Aur Hai, Yeh Sarasar Gumrahi Hai, Istarha Khud Ko Shariat Se Azad Samajhna Khula Huwa Kufr Aur Ilhad Hai.
5 - Koi Wali Kaisa Hi Azeem Ho Ahkaam e Shariya Se Azad Nahi Ho Sakta, Ba'az Sar Phire Keh Dete Hai Ke Shariat Rasta Hai Aur Raste Ki Hajat Unko Ho Jo Maqsood Tak Na Pahoche Hum To Pahuch Gaye.
Hazrate Junaid Bagdadi Rehmatullah Alaih Ne Iska Jawab Diya Ke Beshak Woh Pahoche Magar Kaha? Jahannam Me, Albatta Agar Majzubiyat Ki Wajah Se Aqal Za'el Hogai To Aur Baat Hai Magar Phir Bhi Majzub Shariat Ka Muqabala Kabhi Na Karega.
6 - Auliya e Kiram Ko Allah Ta'ala Ne Badi Taqat Di Hai Isme Jo "As'hab e Khidmat" Hai Inko Tasarruf Ka Ikhtiyar Diya Jata Hai, Woh Siyah Safed Ke Malik Bana Diye Jaate Hai, Yeh Hazraat Rasoolallah ﷺ Ke Sachche Nayeb Hote Hai Inko Saare Ikhtiyarat Wa Tasarrufat Rasoolallah ﷺ Ki Nayabat Me Hi Milte Hai Isliye Uloom e Gaibiya Inpar Munkashif Hote Hai, Inme Bahot Se "Maa Kaan Wamaa Yakoon" Aur Tamaam Laohe Mahfooz Par Muttala Hote Hai.
7 - Karamat e Auliya Haq Hai Iska Munkir Gumrah Hai, Murde Zinda Karna, Maadar Zaad Andhe Aur Kodhi Ko Shifa Dena, Mashriq Se Magrib Tak Saari Zameen Ek Qadam Me Tay Kar Jaana, Garz Tamaam Khawariq e Adaat Auliya Se Mumkin Hai Siwa Mojezat Ke Jinki Babat Doosro Keliye Mumane'at Sabit Ho Chuki Hai.
8 - Auliya Allah Se Madad Maangna Mehboob Hai, Yeh Madad Farmate Hai Raha Auliya Allah Ko Fa'el e Haqeeqi Aur Mustaqil Jaanna Galat Hai, Musalman Kabhi Aisa Nahi Karta.
9 - Auliya Allah Ke Mazarat Par Hazri Dena Barkat Aur Sawab Hai.
10 - Auliya e Kiram Apni Qabro Me Hayat e Abdi Ke Sath Zinda Hai, Inme Sochne, Samajhne, Sunne Aur Dekhne Ki Salahiyat Pehle Se Bahot Zayada Qawi Hojati Hai.
11 - Auliya Ko Door Nazdeek Se Pukarna Sulaha Ka Tareeqa Hai.
12 - Inhe Isale Sawab Karna Nihayat Mustehsan Aur Ba'ise Barkat Wa Hasanaat Hai Jise Adab Se Hum Nazr o Niyaz Bolte Hai, Khaas Gayarhawi Sharif Ki Fateha Nihayat Azimul Barkat Hai.
13 - Urs e Auliya Ya'ani Qura'an Khwani Na'at Khwani, Wa'az Aur Fateha Khwani Nihayat Umda Cheeze Hai Albatta Manhiyat e Sharia Har Halat Me Mazmoom Hai Aur Mazarat e Muqaddasa Par Aur Zayada Mazmoom.
14 - Auliya Taqdeer Tabdeel Kar Sakte Hai, Haa Taqdeer e Mubarram Mutlaq Na Badalti Hai Na Woh Uske Badalne Ka Allah Ta'ala Ko Arz Karte Hai.