Follow us!

Disclaimer:

Get in touch with us

Item has been added

Get 20% off!arrow_drop_up

Huzoor Alim E Rabbani Sultan ul Wa’izin Mauwlana Ahmad Ashraf

  • person Makhdoom Ashraf Foundation
  • calendar_today
  • comment 0 comments
Huzoor Alim E Rabbani Sultan ul Wa’izin Mauwlana Ahmad Ashraf
Shehzada E Huzoor Ala Hazrat Ashrafi Miyan Huzoor Alim E Rabbani Sultan ul Wa’izin Mauwlana Ahmad Ashraf esi ilmi shaksiyat thi ke Huzoor صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne unki khwaab me dastar bandi ki aur uske baad Mauwlana Ahmad Ashraf ne kabhi kisi se dastaar bandi nahi karwayi. Unho ne khitaab aur munazira wagera karke radd e wahabiyat aur deobandiyat ka bara kaam kiya. 
Wo ese ilm wale the ke jab Muhaddis e Azam e Hind jinko ilm ka samandar mana jata tha, ko pucha gaya ke aap ka ilm aur aap ke Pir Mauwlana Ahmed Ashraf ke ilm me kya farq, to Muhaddis e Azam ne jawab diya ke mera ilm unke ilm ke saamne sar ke ek baal barabar bhi nahi he.
 Mauwlana Ahmad Ashraf ka khitaab ka asar ye tha ke A’la Hazrat Fazile Barelwi, Imam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه muaddabana khare hokar sunte the. Mauwlana Ahmad Ashraf ka wisaal Isha ki namaz parthe huwe sajde ki halat me huwa

Leave a comment